thak gae ho Safar see bahut,kuch pal door duniya daari se rakho
hausle Karo majboot aur Safar jaari rakho
mahfil Saji ho ya tanhai se bhara ho maikhana
aankho mein hamesha khumaari rakho
kuch apne Hain kuch parae, kuch parae apne to kuch apne parae
ankhen kholo aur kuch nazre bhi sawali rakho
ho sakti Hain galtiyan kabhi kuch apno se bhi
apne jhole mein kuch maafinaame rakho
nafrato ki dhoop bahut baras rahi hai Bahar
pyaar ki pyaas bujhaane ko kuch ishq e majazi bhi rakho
hai andhera faila har taraf raaho mein
kuch jugnuo ko bhi apne kaase mein rakho
aur, agar musafir ho to naap lo ye duniya
par apne nakshe mein nishaan kuch musafirkhaane k bhi rakho

No comments:
Post a Comment