Sunday, 17 December 2017

Alfaaz

In inaayato ka yeh silsila Kya hai
Shikwa nhi jab kisi baat ka hamse to
Fir Mann mein yeh gila Kya hai
Yuhi khoe rahte hain Tere afsaano mein ham
Siva gham k abhi aur Mila Kya hai
Tumhara ishq hi to hamara marz hai
Zara tu hi Bata iski dawa Kya hai
Jab jaan-e-tamanna ho tum hamaari
To fir tumhare aage aish-o-ishrat Kya hai
Jab Dil tum PE hi aake ruk Gaya ho
To kisi ki khubsurti ki misaal Kya hai
Jab lab PE ho tera Naam aur aankho mein Teri tasveer
To yeh firdaus-e-aaram Kya hai

No comments:

Post a Comment