Saturday, 16 December 2017

Ek shayar

Shayar hun main Teri raaho ka
       Un yaado ka, un raato ka
Shayar hun main Teri baato ka
       Un ahsaason ka, wo dheemi dheemi saanson ka
Shayar hun main un aankhon ka
      Us jhuki palko ka, un talashti nazro ka
Shayar hun main Teri chaal ka
       Un adaaon ka, us saadgi ka
Shayar hun main Tere hotho ka
       Us muskrahat ka, wo Teri aahat ka
Shayar hun main Tere chalne ka
       Tere aane ka, aur Tere jaane ka
Shayar hun main un pyaare ahsaason ka
        Un romaani lamho ka, un geeli ankho ka
Shayar hun main un ghadiyo ka
       Wo hathon k chune ka, wo nazro k milne ka
Shayar hun main us pal ka
       Wo dheemi dheemi dhadkan ka, wo romaani mausam ka
Shayari karta Hun main Tere liye
       Shayar hun main tera aur sirf tera

No comments:

Post a Comment